tum  bhī  ho  ḳhanjar-e-ḳhūshāb  bhī  hai
aur  ye  ḳhānumāñ-ḳharāb  bhī  hai
vo  bhī  haiñ  sāġhar-e-sharāb  bhī  hai
chāñd  ke  paas  āftāb  bhī  hai
bole  vo  bosa-hā-e-paiham  par
are  kam-baḳht  kuchh  hisāb  bhī  hai
pūchhte  jaate  haiñ  ye  ham  sab  se
majlis-e-vāz  meñ  sharāb  bhī  hai
dekh  aao  marīz-e-furqat  ko
rasm-e-duniyā  bhī  hai  savāb  bhī  hai