chashm-e-zāhir  se  ruḳh-e-yār  kā  parda  dekhā
āñkheñ  jab  phuuT  ga.iiñ  tab  ye  tamāshā  dekhā
dekhnā  ye  hai  ki  ham  ne  tumheñ  kaisā  chāhā
pūchhnā  ye  hai  ki  tum  ne  hameñ  kaisā  dekhā
phir  jalāo.ge  kabhī  tālib-e-dīdār  kā  ḳhat
saikḌoñ  āñkhoñ  se  us  ne  tumheñ  dekhā  dekhā
kaan  vo  kaan  hai  jis  ne  tirī  āvāz  sunī
aañkh  vo  aañkh  hai  jis  ne  tirā  jalva  dekhā
aap  kahte  haiñ  ki  jā  dekh  liyā  dil  terā
kahiye  to  apne  sivā  dil  meñ  mire  kyā  dekhā
tum  ḳhabar  bhī  na  hue  ḳhāna-ba-doshoñ  se  kabhī
ham  ne  ghar  phūñk  diyā  sab  ne  tamāshā  dekhā
jin  se  hoñ  soḳhta-jānoñ  ke  kaleje  ThanDe
unhīñ  jalvoñ  se  'hasan'  tuur  ko  jaltā  dekhā