ā.īna  tumhāre  naqsh-e-pā  kā
ḳhurshīd  ko  de  sabaq  jilā  kā
o  vasl  meñ  muñh  chhupāne  vaale
ye  bhī  koī  vaqt  hai  hayā  kā
jab  aañkh  khulī  to  be-ḳhudoñ  se
parda  thā  jamāl-e-ḳhud-numā  kā
dil  aur  vo  but  zahe  muqaddar
zulm  aur  ye  dil  ġhazab  ḳhudā  kā
jā  baiThe  haiñ  mujh  se  duur  uTh  kar
kyā  paas  kiyā  hai  iltijā  kā
bole  vo  'hasan'  kā  ḳhuun  mal  kar
kyā  shoḳh  hai  rañg  is  hinā  kā