husn  jab  maqtal  kī  jānib  teġh-e-burrāñ  le  chalā
ishq  apne  mujrmoñ  ko  pā-ba-jaulāñ  le  chalā
ḳhūn-e-nāhaq  kī  hayā  bolī  zarā  muñh  Dhāñk  lo
naaz  jab  un  ko  sar-e-ḳhāk-e-shahīdāñ  le  chalā
ḳhāk-e-āshiq  rokne  ko  duur  tak  lipTī  ga.ī
jab  samand-e-nāz  ko  vo  garm-jaulāñ  le  chalā
jab  chalī  maqtal  se  qātil  kī  savārī  raat  ko
aage  aage  mish.aleñ  ḳhūn-e-shahīdāñ  le  chalā
ārzū-e-dīd-e-jānāñ  bazm  meñ  laa.ī  mujhe
bazm  se  maiñ  ārzū-e-dīd-e-jānāñ  le  chalā
DhūñDtī  thī  har  taraf  kis  ko  nigāh-e-vāpsīñ
aas  kis  ke  diid  kī  bīmār-e-hijrāñ  le  chalā
nāz-e-āzādī  'hasan'  vaj.h-e-asīrī  ho  gayā
mū-kashāñ  dil  ko  ḳhayāl-e-zulf-e-paimāñ  le  chalā