dariyā  ne  kal  jo  chup  kā  libāda  pahan  liyā
pyāsoñ  ne  apne  jism  pe  sahrā  pahan  liyā
vo  TaaT  kī  qabā  thī  ki  kāġhaz  kā  pairahan
jaisā  bhī  mil  gayā  hameñ  vaisā  pahan  liyā
fāqoñ  se  tañg  aa.e  to  poshāk  bech  dī
uryāñ  hue  to  shab  kā  añdherā  pahan  liyā
garmī  lagī  to  ḳhud  se  alag  ho  ke  so  ga.e
sardī  lagī  to  ḳhud  ko  dobāra  pahan  liyā
bhauñchāl  meñ  kafan  kī  zarūrat  nahīñ  paḌī
har  laash  ne  makān  kā  malba  pahan  liyā
'be-dil'  libās-e-zīst  baḌā  dīda-zeb  thā
aur  ham  ne  is  libās  ko  ulTā  pahan  liyā