rahne  de  ratjagoñ  meñ  pareshāñ  mazīd  use
lagne  de  ek  aur  bhī  zarb-e-shadīd  use
jī  haañ  vo  ik  charāġh  jo  sūraj  thā  raat  kā
tārīkiyoñ  ne  mil  ke  kiyā  hai  shahīd  use
faaqe  na  ghuggiyoñ  se  saḌak  par  nikal  paḌeñ
aafat  meñ  Daal  de  na  ye  bohrān-e-īd  use
fart-e-ḳhushī  se  vo  kahīñ  āñkheñ  na  phoḌ  le
ārām  se  sunāo  sahar  kī  navīd  use
har-chand  apne  qatl  meñ  shāmil  vo  ḳhud  bhī  thā
phir  bhī  gavāh  mil  na  sake  chashm-dīd  use
bāzār  agar  hai  garm  to  kartab  koī  dikhā
sab  gāhakoñ  se  aañkh  bachā  kar  ḳharīd  use
muddat  se  pī  nahīñ  hai  to  phir  fā.eda  uThā
vo  chal  ke  aa  gayā  hai  to  kar  le  kashīd  use
mashkūk  agar  hai  ḳhat  kī  likhā.ī  to  kyā  huā
ja.alī  banā  ke  bhej  de  tū  bhī  rasīd  use