ye  jo  chehroñ  pe  liye  gard-e-alam  aate  haiñ
ye  tumhāre  hī  pashemān-e-karam  aate  haiñ
itnā  khul  kar  bhī  na  ro  jism  kī  bastī  ko  bachā
bārisheñ  kam  huuñ  to  sailāb  bhī  kam  aate  haiñ
tū  sunā  terī  masāfat  kī  kahānī  kyā  hai
mere  raste  meñ  to  har  gaam  pe  ḳham  aate  haiñ
ḳhol  chehroñ  pe  chaḌhāne  nahīñ  aate  ham  ko
gaañv  ke  log  haiñ  ham  shahr  meñ  kam  aate  haiñ
vo  to  'bedil'  koī  sūkhā  huā  pattā  hogā
tere  āñgan  meñ  kahāñ  un  ke  qadam  aate  haiñ