mirī  dāstān-e-alam  to  sun  koī  zalzala  nahīñ  aa.egā
mirā  mudda.ā  nahīñ  aa.egā  tirā  tazkira  nahīñ  aa.egā
ka.ī  ghāTiyoñ  pe  muhīt  hai  mirī  zindagī  kī  ye  rahguzar
tirī  vāpsī  bhī  huī  agar  tujhe  rāsta  nahīñ  aa.egā
agar  aa.e  dasht  meñ  jhel  to  mujhe  ehtiyāt  se  pheñknā
ki  maiñ  barg-e-ḳhushk  huuñ  dosto  mujhe  tairnā  nahīñ  aa.egā
agar  aa.e  din  tirī  raah  meñ  tirī  khoj  meñ  tirī  chaah  meñ
yūñhī  qāfile  jo  luTā  kiye  koī  qāfila  nahīñ  aa.egā
kahīñ  intihā  kī  malāmateñ  kahīñ  pattharoñ  se  aTī  chhateñ
tire  shahr  meñ  mire  ba.ad  ab  koī  sar-phirā  nahīñ  aa.egā
koī  intizār  kā  fā.eda  mire  yaar  'bedil'-e-ġham-zada
tujhe  chhoḌ  kar  jo  chalā  gayā  nahīñ  aa.egā  nahīñ  aa.egā