Khurshid-ul-islam

dabe jo aag to dil se dhuan sa uThta hai

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
dabe jo aag to dil se dhuāñ sā uThtā hai
makāñ ke parde se ik lā-makāñ sā uThtā hai
nazar jo Thahre koī dam tire sarāpe meñ
to añg añg se ik kārvāñ sā uThtā hai
lahū kā cell ho yā zamzama ho jo kuchh ho
hamāre dil se har ik be-karāñ sā uThtā hai
ye terī bazm kī azmat ye us kī vīrānī
ki yaañ se jo bhī uThe ik jahāñ sā uThtā hai
hamārī shaam kī saa.at kī lazzat-e-be-nām
ki jur.e jur.e se taḳht-e-ravāñ sā uThtā hai
na pūchh tishnagī us shaḳhs kī jo ba.ad-e-visāl
kisī ke pahlū se yuuñ kāmrāñ sā uThtā hai
karishma joshish-e-hasrat kā dekhiye har-sū
ki shāḳh shāḳh se ik āshiyāñ sā uThtā hai
Top Urdushayar.com