Shaz Tamkanat

main to chup tha magar usne bhi sunane na diya

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
maiñ to chup thā magar us ne bhī sunāne na diyā
ġham-e-duniyā kā koī zikr tak aane na diyā
us kā zahrāba-e-paikar hai mirī rag rag meñ
us kī yādoñ ne magar haath lagāne na diyā
us ne duurī kī bhī had khīñch rakhī hai goyā
kuchh ḳhayālāt se aage mujhe jaane na diyā
bādbāñ apne safīne kā zarā sī lete
vaqt itnā bhī zamāne kī havā ne na diyā
vahī in.aam zamāne se jise milnā thā
log ma.asūm haiñ kahte haiñ ḳhudā ne na diyā
koī fariyād kare guuñj mire dil se uThe
mauqa-e-dard kabhī haath se jaane na diyā
'shāz' ik dard se sau dard ke rishte nikle
kin masā.ib ne use jī se bhulāne na diyā
Top Urdushayar.com