auroñ  pe  ittifāq  se  sabqat  milī  mujhe
bhūle  se  sar-kashī  kī  rivāyat  milī  mujhe
ġhairoñ  kī  dostī  se  kise  hamdamī  milī
sab  se  bichhaḌ  ke  apnī  rifāqat  milī  mujhe
shahroñ  meñ  bhī  sarāb  kī  tahrīr  paḌh  sakā
nā-bīnā  falsafī  kī  basārat  milī  mujhe
bas  merā  zikr  aate  hī  mahfil  ujaḌ  ga.ī
shaitāñ  ke  ba.ad  dūsrī  shohrat  milī  mujhe
duniyā  meñ  roz  hashr  kā  hañgām  dekh  kar
mahjūb  sar  barahna  qayāmat  milī  mujhe
kuchh  dil-ḳharāsh  sher  kahe  aur  chal  basā
haañ  zindagī  meñ  itnī  hī  mohlat  milī  mujhe
sochā  thā  apne  ahd  kā  ik  marsiya  likhūñ
'bāqar'  ġhazal  hī  kahne  kī  fursat  milī  mujhe