Shaz Tamkanat

sambhla nahin dil tujhse bichhaD kar kai din tak

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
sambhlā nahīñ dil tujh se bichhaḌ kar ka.ī din tak
maiñ ā.īna thā ban gayā patthar ka.ī din tak
kyā chiiz thī ham rakh ke kahīñ bhuul ga.e haiñ
vo chiiz ki yaad aa.ī na aksar ka.ī din tak
ai shāḳh-e-vafā phir vo parinda nahīñ lauTā
maiñ ghar meñ thā niklā nahīñ bāhar ka.ī din tak
vo bojh ki thī jis se mire sar kī bulandī
vo bojh girā uTh na sakā sar ka.ī din tak
ham ne bhī bahut us ko bhulāne kī duā kī
ham ne bhī bahut dekhā hai ro kar ka.ī din tak
kahte haiñ ki ā.īna bhī dekhā nahīñ us ne
sunte haiñ ki pahnā nahīñ zevar ka.ī din tak
ham taan ke so.e the ki kyuuñ aa.egā vo 'shāz'
detā rahā dastak vo barābar ka.ī din tak
Top Urdushayar.com