Abdul Ahad Saaz

yun bhi dil ahbab ke humne gahe gahe rakkhe the

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950

yuuñ bhī dil ahbāb ke ham ne gaahe gaahe rakkhe the

apne zaḳhm-e-nazar par ḳhush-fahmī ke phāhe rakkhe the

ham ne tazād-e-dahr ko samjhā do-rāhe tartīb diye

aur baratne nikle to dekhā sah-rāhe rakkhe the

raqs-kada ho bazm-e-suḳhan ho koī kārgah-e-fan ho

zardozoñ ne apnī mā-tahtī meñ julāhe rakkhe the

mohtasiboñ ḳhātir bhī apne iz.hār meñ kuchh pahlū

rakh to liye the ham ne ab chāhe an-chāhe rakkhe the

jo vaj.h-e-rāhat bhī na the aur TuuT ga.e to ġham na huā

aah vo rishte kyuuñ ham ne ik umr nibāhe rakkhe the

kāhkashāñ-bandī meñ suḳhan rah ga.ī 'sāz' kasar kaisī

lafz to ham ne chun ke najūme mohre maahe rakkhe the

Top Urdushayar.com