Abdul Ahad Saaz

lamha-e-taKHliq baKHsha usne mujhko bhik mein

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
lamha-e-taḳhlīq baḳhshā us ne mujh ko bhiik meñ
maiñ ne lauTāyā use ik nazm kī taknīk meñ
bām-o-dar kī raushnī phir kyuuñ bulātī hai mujhe
maiñ nikal aayā thā ghar se ik shab-e-tārīk meñ
faisle mahfūz haiñ aur fāsle haiñ barqarār
gard uḌtī hai yaqīñ kī vādī-e-tashkīk meñ
sī ke phailā duuñ bisāt-e-fan pe maiñ dāmān-e-chāk
Dor to guzre nazar kī sozan-e-bārīk meñ
maiñ ziyārat-gāh-e-āgāhī se lauT aayā huuñ dost
phuul laayā huuñ alam ke hadiya-e-tabrīk meñ
bol mere sur ko chhūte chhūte rah jaate haiñ 'sāz'
aah ye kaisī kasar hai dard kī tahrīk meñ
Top Urdushayar.com