Abdul Ahad Saaz

lamha-e-taKHliq baKHsha usne mujhko bhik mein

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950

lamha-e-taḳhlīq baḳhshā us ne mujh ko bhiik meñ

maiñ ne lauTāyā use ik nazm taknīk meñ

bām-o-dar raushnī phir kyuuñ bulātī hai mujhe

maiñ nikal aayā thā ghar se ik shab-e-tārīk meñ

faisle mahfūz haiñ aur fāsle haiñ barqarār

gard uḌtī hai yaqīñ vādī-e-tashkīk meñ

ke phailā duuñ bisāt-e-fan pe maiñ dāmān-e-chāk

Dor to guzre nazar sozan-e-bārīk meñ

maiñ ziyārat-gāh-e-āgāhī se lauT aayā huuñ dost

phuul laayā huuñ alam ke hadiya-e-tabrīk meñ

bol mere sur ko chhūte chhūte rah jaate haiñ 'sāz'

aah ye kaisī kasar hai dard tahrīk meñ

Top Urdushayar.com