Abdul Ahad Saaz

baatin se sadaf ke dur-e-nayab khulenge

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
bātin se sadaf ke dur-e-nāyāb khuleñge
lekin ye manāzir bhī tah-e-āb khuleñge
dīvār nahīñ parda-e-fan band-e-qabā hai
ik jumbish-e-añgusht ki mahtāb khuleñge
kuchh nok-palak aur tahayyur kī sañvar jaa.e
har jumbish-e-mizhgāñ meñ na.e baab khuleñge
ā.īna-dar-ā.īna khulegā chaman-e-aks
ta.abīr ke dar ḳhvāb pas-e-ḳhvāb khuleñge
ho jā.eñge jab ġharq sadāoñ ke safīne
sunte haiñ ḳhamoshī ke ye girdāb khuleñge
kyā un se samā.at bhī guzar pā.egī ai 'sāz'
vo dar jo tah-e-jumbish-e-mizrāb khuleñge
Top Urdushayar.com