Abdul Ahad Saaz

sawal be-aman ban ke rah gae

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
savāl be-amān ban ke rah ga.e
javāb imtihān ban ke rah ga.e
had-e-nigāh tak buland falsafe
gharoñ ke sā.ebān ban ke rah ga.e
jo zehan, āgahī kī kār-gāh the
ḳhayāl kī dukān ban ke rah ga.e
bayāz par sambhal sake na tajrabe
phisal paḌe bayān ban ke rah ga.e
kiran kiran yaqīn jaise rāste
dhuāñ dhuāñ gumān ban ke rah ga.e
ziyā.eñ bāñTte the, chāñd the kabhī
gahan lagā to daan ban ke rah ga.e
mirā vajūd shahr shahr ho gayā
kahīñ kahīñ nishān 'ban' ke rah ga.e
kamar javāb de ke jhuk ga.ī badan
savāliya nishān ban ke rah ga.e
maiñ fan kī sā.atoñ ko lab na de sakā
nuqūsh be-zabān ban ke rah ga.e
nafas nafas talab talab the 'sāz' ham
qadam qadam takān ban ke rah ga.e
Top Urdushayar.com