Dar  ye  hai  bāzuoñ  meñ  mom  kī  sūrat  na  pighal  jaa.e  kahīñ
tū  mire  saath  mire  jism  ke  dozaḳh  meñ  na  jal  jaa.e  kahīñ
ghar  se  gaatā  huā  niklā  to  huuñ  maiñ  naġhma-e-ehsās  magar
shahr  ke  shor  meñ  dab  jaa.eñ  na  sar  lai  na  badal  jaa.e  kahīñ
faqat  is  ḳhauf  se  jaatā  nahīñ  maiñ  sub.h-e-tarab  kī  jānib
ufuq-e-dil  se  tire  dard  kā  mahtāb  na  Dhal  jaa.e  kahīñ
ye  tirā  kaam  nahīñ  dekh  na  duniyā  kī  taraf  gaa.e  jā
maddham  ik  aah  meñ  ik  chīḳh  meñ  pancham  na  badal  jaa.e  kahīñ
sub.h  nazdīk  hai  karvaT  bhī  badal  soch  samajh  kar  'ḳhālid'
zehn  par  āḳhir-e-shab  niind  kī  talvār  na  chal  jaa.e  kahīñ