Shaz Tamkanat

wo kaun dair-nashin tha haram ke goshe mein

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
vo kaun dair-nashīñ thā haram ke goshe meñ
kis kī yaad thī yaad ḳhudā ke parde meñ
kaheñ to kis se kaheñ chup sī lag ga.ī hai hameñ
baḌā sukūñ hai tirī be-ruḳhī ke sadqe meñ
dikhā dikhā ke jhalak koī chhuptā jaatā thā
kahāñ kahāñ na sadā dī kisī ke dhoke meñ
ḳhabar nahīñ ki tirī yaad kyā tirā ġham kyā
magar vo dard jo hotā hai saañs lene meñ
tire firāq kī ye diin bhī qayāmat hai
kahāñ kī aag samo dī hai mere naġhme meñ
chalī thī kashtī-e-dil bādbān-e-yād ke saath
kahāñ utaar ga.ī ajnabī jazīre meñ
vo aadhī raat vo sunsān rāsta vo makāñ
vo ik sham.a sī jaltī huī darīche meñ
nasheb-e-vādī-e-ġham meñ utar gayā hai koī
khaḌā huā hai koī aaj tak jharoke meñ
hayāt kyā hai ajal ko bhī haar baiThe 'shāz'
kahīñ ke bhī na rahe naqd-e-dil ke saude meñ
Top Urdushayar.com