Shaz Tamkanat

teri nazar sabab-e-tishnagi na ban jae

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
tirī nazar sabab-e-tishnagī na ban jaa.e
kahīñ sharāb mirī zindagī na ban jaa.e
kabhī kabhī to añdherā bhī ḳhūb-sūrat hai
tirā ḳhayāl kahīñ raushnī na ban jaa.e
bhaḌak na jaa.e kahīñ sham-e-ilm-o-dānish bhī
junūñ junūñ hī rahe āgahī na ban jaa.e
maiñ Dar rahā huuñ kahāñ terā sāmnā hogā
tirā vajūd hī merī kamī na ban jaa.e
tire baġhair zamāne ko muñh dikhā na sakūñ
ye zindagī kahīñ sharmindagī na ban jaa.e
jahāñ meñ hai ki kamīñ-gāh meñ ḳhudā jaane
ab is qadar bhī subuk aadmī na ban jaa.e
ye vahm dil ko satātā hai rū-ba-rū tere
ye terī diid kahīñ āḳhirī na ban jaa.e
tarab kī bazm meñ kam kam fasurdagī ai 'shāz'
kahīñ mizāj kī uftād hī na ban jaa.e
Top Urdushayar.com