jo  zamāne  kā  ham-zabāñ  na  rahā
vo  kahīñ  bhī  to  kāmrāñ  na  rahā
is  tarah  kuchh  badal  ga.ī  hai  zamīñ
ham  ko  ab  ḳhauf-e-āsmāñ  na  rahā
jaane  kin  mushkiloñ  se  jiite  haiñ
kyā  kareñ  koī  mehrbāñ  na  rahā
aisī  begānagī  nahīñ  dekhī
ab  kisī  kā  koī  yahāñ  na  rahā
har  jagah  bijliyoñ  kī  yūrish  hai
kyā  kahīñ  apnā  āshiyāñ  na  rahā
muflisī  kyā  gila  kareñ  tujh  se
saath  terā  kahāñ  kahāñ  na  rahā
hasrateñ  baḌh  ke  chūmtī  haiñ  qadam
manziloñ  kā  koī  nishāñ  na  rahā
ḳhūn-e-dil  apnā  jal  rahā  hai  magar
sham.a  ke  sar  pe  vo  dhuāñ  na  rahā
ġham  nahīñ  ham  tabāh  ho  ke  rahe
hādsa  bhī  to  nā-gahāñ  na  rahā
qāfile  ḳhud  sambhal  sambhal  ke  baḌhe
jab  koī  mīr-e-kārvāñ  na  rahā