Shaz Tamkanat

suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
suḳhan rāz-e-nashāt-o-ġham kā parda ho hī jaatā hai
ġhazal kah leñ to jī kā bojh halkā ho hī jaatā hai
vo aalam jab kisī māyūs kā hotā nahīñ koī
tujhe ma.alūm bhī hai tū kisī kā ho hī jaatā hai
kiyā hai maiñ ne iz.hār-e-tamannā jaane kis kis se
mujhe aksar tirī sūrat kā dhokā ho hī jaatā hai
hujūm-e-ārzū hamrāh-e-jān-o-dil sahī lekin
qarīb-e-kū-e-jānāñ koī tanhā ho hī jaatā hai
hameñ to umr-bhar kā ġham ki aisā kyuuñ huā hogā
hameñ ab kaun samjhā.e ki aisā ho hī jaatā hai
koī tujh sā nahīñ hai anjuman-dar-anjuman dekhā
magar tanhā.iyoñ meñ koī tujh sā ho hī jaatā hai
na ro yuuñ 'shāz' āñkheñ jo dikhā.eñ dekhte jaao
na itnā ġham karo ye dil hai sahrā ho hī jaatā hai
Top Urdushayar.com