Hafeez Jaunpuri

likh de aamil koi aisa tawiz

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918

likh de aamil koī aisā ta.avīz

yaar ho jaa.e gale ta.avīz

kab musaḳhḳhar ye hasīñ hote haiñ

sab ye be-kār hai ganDā-ta.avīz

na huā yaar ġhussa ThanDā

bār-hā dho ke pilāyā ta.avīz

sar se gesū balā jaatī hai

laa.e to radd-e-balā ta.avīz

mar ke bhī dil taḌap itnī hai

shaq huā merī lahad ta.avīz

har tarah hotī hai māyūsī jab

log karte haiñ duā ta.avīz

aarzū ḳhaak meñ dushman mile

is liye dafn kiyā thā ta.avīz

haath se apne jo likkhā us ne

ham ne us ḳhat ko banāyā ta.avīz

jis se aayā huā dil ruk jaa.e

koī aisā bhī hai laTkā ta.avīz

dil pasījā na kisī din un

roz likh likh ke jalāyā ta.avīz

kaam lo jazb-e-mohabbat se 'hafīz'

naqsh kyā chiiz hai kaisā ta.avīz

Top Urdushayar.com