Hafeez Jaunpuri

munh mera ek ek takta tha

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918

muñh mirā ek ek taktā thā

us mahfil meñ maiñ tamāshā thā

ham jo tujh se phireñ ḳhudā se phireñ

yaad hai kuchh ye qaul kis thā

vasl meñ bhī rahā firāq ġham

shaam se sahar khaTkā thā

apnī āñkhoñ kuchh qusūr nahīñ

husn dil-fareb is thā

fātiha paḌh rahe the vo jab tak

merī turbat par ek melā thā

nāma-bar naama jab diyā ne

kuchh zabānī bhī us ne pūchhā thā

ab kuchh is bhī e.atibār nahīñ

pahle dil par baḌā bharosā thā

vo jo ruk ruk ke pūchhte the haal

dil meñ rah rah ke dard uThtā thā

jūThā va.ada bhī ai 'hafīz' un

zindagī mirī sahārā thā

Top Urdushayar.com