Hafeez Jaunpuri

go ye rakhti nahin insan ki haalat achchhi

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918

go ye rakhtī nahīñ insān hālat achchhī

phir bhī sau kaam se duniyā ke mohabbat achchhī

kyā vo achchhā hai agar sirf hai sūrat achchhī

sūrat achchhī jo ḳhudā de to ho sīrat achchhī

vasl meñ ye jo huuñ bebāk to nikle matlab

aise mauqe pe hasīnoñ sharārat achchhī

jis meñ shoḳhī na sharārat na karishma na adā

aise ma.ashūq se miTTī hai mūrat achchhī

dost un jo hai barbād to dushman hai ḳharāb

lutf achchhā na hasīnoñ adāvat achchhī

shikva vo ḳhuub hai jis se ho lagāvaT zāhir

shukr jis meñ ho pahlū vo shikāyat achchhī

na huī qadr muqaddar burā.ī se 'hafīz'

kyā huā aap ne paa.ī jo tabī.at achchhī

Top Urdushayar.com