har  manzar-e-ḳhush-rañg  sulag  jaa.e  to  kyā  ho
shabnam  bhī  agar  aag  hī  barsā.e  to  kyā  ho
ehsās  kī  qindīl  se  az.hān  haiñ  raushan
lekin  ye  ujālā  bhī  jo  kajlā.e  to  kyā  ho
suraj  kī  tamāzat  se  jhulas  jaatī  hai  duniyā
suraj  mire  qadmoñ  pe  utar  aa.e  to  kyā  ho
zar-tābī-e-afkār  to  pahle  hī  se  hai  maañd
alfāz  kā  ā.īna  bhī  dhundlā.e  to  kyā  ho
maiñ  jab  bhī  likhūñ  vaqt  ke  ḳhūñ-rez  fasāne
hāthoñ  maiñ  qalam  chhūT  ke  rah  jaa.e  to  kyā  ho
be-ḳhvāb  nigāhoñ  ke  ufaq  par  jo  āchānak
dhundlā  sā  koī  chāñd  ubhar  aa.e  to  kyā  ho