jab  zamīñ  ke  muqaddar  sañvar  jā.eñge
āsmāñ  se  farishte  utar  ā.eñge
kaise  phaileñge  vo  log  ufuq-tā-ufuq
apne  andar  simaT  kar  jo  rah  jā.eñge
chāñdnī  mauj-dar-mauj  lahrā.egī
aks  tāroñ  ke  paanī  se  tharrāeñge
bārish-e-sañg  karte  chale  jaa.eñ  vo
ham  lahū  ro  ke  bhī  phuul  barsā.eñge
kāñch  kā  jism  le  kar  kisī  shahr  meñ
vo  agar  jā.eñge  bikhar  jā.eñge
jin  meñ  tanvīr-e-ehsās  jaagī  na  ho
zehn  aise  khañDar  hī  to  kahlā.eñge
ret  uḌegī  jo  sahrā-e-iḳhlās  meñ
aur  kyā  apnī  muTThī  meñ  ham  lā.eñge