har  dam  duā-e-āb-o-havā  māñgte  rahe
nañge  daraḳht  sabz  qabā  māñgte  rahe
yāroñ  kā  e'tiqād  bhī  andhā  thā  is  qadar
gūñgī  rivāyatoñ  se  sadā  māñgte  rahe
kitnī  ajiib  baat  thī  jab  sard  raat  se
ham  dopahar  kī  garm  havā  māñgte  rahe
karte  rahe  jo  din  ke  ujāloñ  se  ehtirāz
vo  bhī  añdherī  shab  meñ  ziyā  māñgte  rahe
kuchh  log  aise  bhī  the  jo  lamhāt-e-karb  se
āsūda  sā.atoñ  kā  pata  māñgte  rahe