ehsās  kī  ragoñ  meñ  utarne  lagā  hai  vo
ab  buuñd  buuñd  mujh  meñ  bikharne  lagā  hai  vo
gumnāmiyoñ  kī  andhī  guphā.eñ  hoñ  nauha-ḳhvāñ
mānind-e-āftāb  ubharne  lagā  hai  vo
kaise  kahūñ  ki  ġham  huā  ḳhvāboñ  kī  bhiiḌ  meñ
zaḳhmoñ  kā  indimāl  to  karne  lagā  hai  vo
ik  harf-e-ātishīñ  bhī  nahīñ  us  ke  hoñT  par
lagtā  hai  lahza  lahza  ThiThurne  lagā  hai  vo
imkān  kī  hadoñ  se  guzarne  ke  ba.ad  kyuuñ
ab  reza  reza  ho  ke  bikharne  lagā  hai  vo
utrā  thā  merī  ruuh  ke  rauzan  se  jo  kabhī
ghuT  ghuT  ke  mere  jism  meñ  marne  lagā  hai  vo