ḳhvāb  bikhreñge  to  ham  ko  bhī  bikharnā  hogā
shab  kī  ik  ek  aziyyat  se  guzarnā  hogā
vo  hamāre  hī  rag-o-pai  meñ  nihāñ  rahtā  hai
is  kī  tasdīq  to  ik  din  hameñ  karnā  hogā
apne  ḳhākistar-e-tan  ko  liye  kūche  kūche
kyā  havāoñ  kī  tarah  mujh  ko  guzarnā  hogā
hameñ  ahbāb  kī  be-laus  rifāqat  ke  sabab
vaqt  aa.egā  to  be-maut  bhī  marnā  hogā
hoñge  sahrāoñ  ke  sannāTe  nazar  kī  had  meñ
koī  vaadī  na  koī  ḳhvāb  na  jharnā  hogā
aa.ina  aa.ina  ḳhud  saarī  dishā.eñ  hoñgī
aks-dar-aks  magar  ham  ko  ubharnā  hogā
chīḳhte  ḳhvāboñ  kī  ta.abīr  yahī  kahtī  hai
hogī  haḌtāl  kahīñ  to  kahīñ  dharnā  hogā