baḌe  sukūn  se  ḳhud  apne  ham-saroñ  meñ  rahe
jab  ā.ina-sifat  insān  pattharoñ  meñ  rahe
bhalā  vo  kaise  jarā.em  ke  haath  kāTeñge
jo  sahme  simTe  se  ḳhud  apne  bistaraoñ  meñ  rahe
nafas  nafas  thā  bikharne  kā  silsila  jaarī
barā.e  naam  hī  mahfūz  ham  gharoñ  meñ  rahe
hamārī  nukta-rasī  is  qadar  girāñ  guzrī
ki  ban  ke  ḳhaar  hamesha  nazar-varoñ  meñ  rahe
sahīfe  fikr-o-nazar  ke  jo  de  ga.e  tartīb
vahī  to  sher-o-suḳhan  ke  payambaroñ  meñ  rahe
uThā.e  dosh  pe  maslūb  hasratoñ  kī  laash
ham  apne  shahr  ke  ḳhūñ-bār  manzaroñ  meñ  rahe
tarāsh  kar  na.ī  tahzīb  ke  sanam  ham  log
''ba-sad  vaqār  zamāne  ke  āzaroñ  meñ  rahe