aaj  mujhe  kuchh  log  mile  haiñ  pāgal  se
shahr  meñ  vahshī  dar  aa.e  kyā  jañgal  se
saare  masā.il  lā-yanhal  se  lagte  haiñ
niklūñ  kaise  soch  kī  gahrī  daldal  se
barf-numā  sī  tāroñ  kī  chanchal  kirneñ
chhan  kar  nikleñ  raat  ke  kaale  āñchal  se
zehn  se  yuuñ  hai  fikr-o-nazar  kā  ab  rishta
panghaT  ko  ik  rabt  ho  jaise  chhāgal  se
yaad  kī  ḳhushbū  dil  ke  nagar  meñ  phailegī
ġham  ke  saa.e  lagte  haiñ  ab  shītal  se
jism-o-jāñ  par  sannāToñ  kā  pahra  ho
baaz  aayā  maiñ  ab  duniyā  kī  halchal  se
tanhā.ī  kā  zahr  bhalā  kyā  phailegā
chhā.e  ho  tum  ehsās  pe  mere  bādal  se