Shaz Tamkanat

hawas jalwa nahin zauq-e-tamasha bhi nahin

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
havas jalva nahīñ zauq-e-tamāshā bhī nahīñ
kisī chehre pe tire chehre kā dhokā bhī nahīñ
ġham-gusārī kī tavaqqo.a na dilāse kī umiid
kyā qayāmat hai ki maiñ ishq meñ rusvā bhī nahīñ
vahī mil baiThnā pahroñ vahī ahbāb kī bazm
ḳhud-farebī kā bhalā ho ki maiñ tanhā bhī nahīñ
husn sar-tā-pā taġhāful hai rivāyat ke nisār
tajraba apnā ye kahtā hai ki aisā bhī nahīñ
sāmnā ho to vahī bojh sā jaise dil par
tum se maanā ki kisī baat kā pardā bhī nahīñ
aage aage koī mash.al sī liye chaltā thā
haa.e us shaḳhs kā kyā naam thā pūchhā bhī nahīñ
sirf ḳhalvat kī hai shoḳhī ki abhī tak us ne
'shāz' kah kar mujhe mahfil meñ pukārā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com