Amn Lakhnvi

shauq-e-sawab kuchh nahin KHauf-e-azab kuchh nahin

Amn Lakhnvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1898-1983

shauq-e-savāb kuchh nahīñ ḳhauf-e-azāb kuchh nahīñ

jis meñ na josh-e-johd ho us shabāb kuchh nahīñ

zindagī ik savāl hai jis javāb maut hai

maut bhī ik savāl hai jis javāb kuchh nahīñ

naġhma-e-nau ke vāste ġhair ehtiyāj kyā

chheḌ de tār-e-sāz-e-dil chañg-o-rubāb kuchh nahīñ

saaf diloñ ke vāste tañg hai arsa-e-hayāt

zāt-e-hubāb ḳhuub hai umr-e-hubāb kuchh nahīñ

barhaman aur shaiḳh meñ jhagḌe yahī haiñ raat din

terī kitāb kuchh nahīñ terī kitāb kuchh nahīñ

raat ko mai-kade meñ kal thī kisī mast sadā

ek nazar rañg hai rañg-e-sharāb kuchh nahīñ

Top Urdushayar.com