Shaz Tamkanat

KHarab hun ki junun ka chalan hi aisa tha

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985

ḳharāb huuñ ki junūñ chalan aisā thā

ki terā husn mirā husn-e-zan aisā thā

har ek Duub gayā apnī apnī yādoñ meñ

ki terā zikr sar-e-anjuman aisā thā

bahāna chāhiye thā jū-e-shīr-o-shīrīñ

koī samajh na sakā tesha-zan aisā thā

had-e-adab se gurezāñ na ho sakā koī

ki sādgī meñ tirā bāñkpan aisā thā

rafāqatoñ meñ bhī niklīñ riqābateñ kyā kyā

maiñ kyā kahūñ tirā rū-e-suḳhan aisā thā

jahāñ bhī chhāñv milī do-ghaḌī ko baiTh rahe

dayār-e-ġhair kahāñ thā vatan aisā thā

thī daaġh daaġh mire qātiloñ ḳhush-poshī

ki umr-bhar mire sar par kafan aisā thā

mujhe to yuuñ lagā tarshā huā thā sho.ala koī

badan aisā thā kuchh pairahan aisā thā

haqīqatoñ meñ bhī thī 'shāz' rañg-āmezī

qasīda-e-lab-o-āriz fan aisā thā

Top Urdushayar.com