Ambareen Haseeb ambar

KHushi ka lamha ret tha so hath se nikal gaya

Ambareen Haseeb ambar

Karachi, Sindh, Pakistan

1981
ḳhushī kā lamha ret thā so haath se nikal gayā
vo chaudhvīñ kā chāñd thā añdherī shab meñ Dhal gayā
hai vasf us ke paas ye badal sake har ek shai
so mujh ko bhī badal diyā aur aap bhī badal gayā
machal rahā thā dil bahut so dil kī baat maan lī
samajh rahā hai nā-samajh kī daav us kā chal gayā
ye dauḌ bhī ajiib sī hai faisla ajīb-tar
kī fāteh-e-hayāt vo jo gir ke phir sambhal gayā
samajh liyā aham nahīñ maiñ us ke vāste magar
nazar phir us se mil ga.ī ye dil kī phir bahal gayā
ajiib merā aks thā utar ke us kī aañkh meñ
sañvārā mujh ko is tarah kī aa.ina hī jal gayā
Top Urdushayar.com