ḳhushī  kā  lamha  ret  thā  so  haath  se  nikal  gayā
vo  chaudhvīñ  kā  chāñd  thā  añdherī  shab  meñ  Dhal  gayā
hai  vasf  us  ke  paas  ye  badal  sake  har  ek  shai
so  mujh  ko  bhī  badal  diyā  aur  aap  bhī  badal  gayā
machal  rahā  thā  dil  bahut  so  dil  kī  baat  maan  lī
samajh  rahā  hai  nā-samajh  kī  daav  us  kā  chal  gayā
ye  dauḌ  bhī  ajiib  sī  hai  faisla  ajīb-tar
kī  fāteh-e-hayāt  vo  jo  gir  ke  phir  sambhal  gayā
samajh  liyā  aham  nahīñ  maiñ  us  ke  vāste  magar
nazar  phir  us  se  mil  ga.ī  ye  dil  kī  phir  bahal  gayā
ajiib  merā  aks  thā  utar  ke  us  kī  aañkh  meñ
sañvārā  mujh  ko  is  tarah  kī  aa.ina  hī  jal  gayā