vo  masīhā  na  banā  ham  ne  bhī  ḳhvāhish  nahīñ  kī
apnī  shartoñ  pe  jiye  us  se  guzārish  nahīñ  kī
us  ne  ik  roz  kiyā  ham  se  achānak  vo  savāl
dhaḌkaneñ  tham  sī  ga.iiñ  vaqt  ne  jumbish  nahīñ  kī
kis  liye  bujhne  lage  avval-e-shab  saare  charāġh
āñdhiyoñ  ne  bhī  agarche  koī  sāzish  nahīñ  kī
ab  ke  ham  ne  bhī  diyā  tark-e-ta.alluq  kā  javāb
hoñT  ḳhāmosh  rahe  aañkh  ne  bārish  nahīñ  kī
ham  to  sunte  the  ki  mil  jaate  haiñ  bichhḌe  hue  log
tū  jo  bichhḌā  hai  to  kyā  vaqt  ne  gardish  nahīñ  kī
us  ne  zāhir  na  kiyā  apnā  pashemāñ  honā
ham  bhī  anjān  rahe  ham  ne  bhī  pursish  nahīñ  kī