jism-o-jāñ  meñ  dar  aa.ī  is  qadar  aziyyat  kyuuñ
zindagī  bhalā  tujh  se  ho  rahī  hai  vahshat  kyuuñ
silsila  mohabbat  kā  sirf  ḳhvāb  hī  rahtā
apne  darmiyāñ  āḳhir  aa  ga.ī  haqīqat  kyuuñ
faisla  bichhaḌne  kā  kar  liyā  hai  jab  tum  ne
phir  mirī  tamannā  kyā  phir  mirī  ijāzat  kyuuñ
ye  ajiib  uljhan  hai  kis  se  pūchhne  jaa.eñ
aa.ine  meñ  rahtī  hai  sirf  ek  sūrat  kyuuñ
karr-o-farr  se  nikle  the  jo  sameTne  duniyā
bhar  ke  apne  dāman  meñ  aa  ga.e  nadāmat  kyuuñ
aap  se  muḳhātib  huuñ  aap  hī  ke  lahje  meñ
phir  ye  barhamī  kaisī  aur  ye  shikāyat  kyuuñ