ai  ḳhudā  ajab  hai  tirā  jahāñ  mirā  dil  yahāñ  pe  lagā  nahīñ
jahāñ  koī  ahl-e-vafā  nahīñ  kisī  lab  pe  harf-e-duā  nahīñ
baḌā  shor  thā  tire  shahr  kā  so  guzār  aa.e  haiñ  din  vahāñ
vo  sakūñ  ki  jis  kī  talāsh  hai  tire  shahr  meñ  bhī  milā  nahīñ
ye  jo  hashr  barpā  hai  har  taraf  to  bas  is  kā  hai  yahī  ik  sabab
hai  laboñ  pe  nām-e-ḳhudā  magar  kisī  dil  meñ  ḳhauf-e-ḳhudā  nahīñ
jo  hañsī  hai  lab  pe  sajī  huī  to  ye  sirf  zabt  kā  farq  hai
mire  dil  meñ  bhī  vahī  zaḳhm  haiñ  mirā  haal  tujh  se  judā  nahīñ
ye  jo  dasht-e-dil  meñ  haiñ  raunaqeñ  ye  tirī  atā  ke  tufail  haiñ
diyā  zaḳhm  jo  vo  harā  rahā  jo  diyā  jalā  vo  bujhā  nahīñ
ai  ḳhudā  ajab  hai  tirī  razā  koī  bhed  is  kā  na  pā  sakā
ki  milā  to  mil  gayā  be-talab  jise  māñgte  the  milā  nahīñ
vo  jo  harf-e-haq  thā  likhā  gayā  kisī  shaam  ḳhuun  se  ret  par
hai  gavāh  mauja-e-vaqt  bhī  ki  vo  harf  us  se  miTā  nahīñ