zindagī-bhar  ek  hī  kār-e-hunar  karte  rahe
ik  gharauñdā  ret  kā  thā  jis  ko  ghar  karte  rahe
ham  ko  bhī  ma.alūm  thā  anjām  kyā  hogā  magar
shahr-e-kūfa  kī  taraf  ham  bhī  safar  karte  rahe
uḌ  ga.e  saare  parinde  mausamoñ  kī  chaah  meñ
intizār  un  kā  magar  būḌhe  shajar  karte  rahe
yuuñ  to  ham  bhī  kaun  sā  zinda  rahe  is  shahr  meñ
zinda  hone  kī  adākārī  magar  karte  rahe
aañkh  rah  taktī  rahī  dil  us  ko  samjhātā  rahā
apnā  apnā  kaam  donoñ  umr-bhar  karte  rahe
ik  nahīñ  kā  ḳhauf  thā  so  ham  ne  pūchhā  hī  nahīñ
yaad  kyā  ham  ko  bhī  vo  dīvār-o-dar  karte  rahe