kab  mausam-e-bahār  pukārā  nahīñ  kiyā
ham  ne  tire  baġhair  gavāra  nahīñ  kiyā
duniyā  to  ham  se  haath  milāne  ko  aa.ī  thī
ham  ne  hī  e.atibār  dobāra  nahīñ  kiyā
mil  jaa.e  ḳhaak  meñ  na  kahīñ  is  ḳhayāl  se
āñkhoñ  ne  koī  ishq  sitārā  nahīñ  kiyā
ik  umr  ke  azaab  kā  hāsil  vahīñ  bahisht
do  chaar  din  jahāñ  pe  guzārā  nahīñ  kiyā
ai  āsmāñ  kis  liye  is  darja  barhamī
ham  ne  to  tirī  samt  ishārā  nahīñ  kiyā
ab  hañs  ke  tere  naaz  uThā.eñ  to  kis  liye
tū  ne  bhī  to  lihāz  hamārā  nahīñ  kiyā