ho  ga.ī  baat  purānī  phir  bhī
yaad  hai  mujh  ko  zabānī  phir  bhī
mauja-e-ġham  ne  to  dam  toḌ  diyā
rah  gayā  aañkh  meñ  paanī  phir  bhī
maiñ  ne  sochā  bhī  nahīñ  thā  is  ko
ho  ga.ī  shaam  suhānī  phir  bhī
chashm-e-nam  ne  use  jaate  dekhā
dil  ne  ye  baat  na  maanī  phir  bhī
log  arzāñ  hue  jaate  haiñ  yahāñ
baḌhtī  jaatī  hai  girānī  phir  bhī
burīda  laa.e  ho  darbār  meñ  tum
yaad  hai  sho.ala-bayānī  phir  bhī
bhuul  jote  haiñ  musāfir  rasta
log  kahte  haiñ  kahānī  phir  bhī