maiñ  use  dekh  rahī  huuñ  baḌī  hairānī  se
jo  mujhe  bhuul  gayā  is  qadar  āsānī  se
ḳhud  se  ghabrā  ke  yahī  kahtī  huuñ  auroñ  kī  tarah
ḳhauf  aatā  hai  mujhe  shahr  kī  vīrānī  se
ab  kisī  aur  salīqe  se  satā.e  duniyā
jī  badalne  lagā  asbāb-e-pareshānī  se
tan  ko  Dhāñpe  hue  phirte  haiñ  sabhī  log  yahāñ
sharm  aatī  hai  kise  soch  kī  uryānī  se
ai  falak  chhoḌ  de  be-yār-o-madadgār  hameñ
dam  ghuTā  jaatā  hai  ab  terī  nigahbānī  se
maiñ  use  ḳhvāb  samajh  saktī  huuñ  lekin  'amabar'
lams  jaatā  nahīñ  us  kā  mirī  peshānī  se