jab  se  zindagī  huā  dil  gardish-e-taqdīr  kā
roz  baḌh  jaatā  hai  ik  halqa  mirī  zanjīr  kā
mere  hisse  meñ  kahāñ  thiiñ  ujlatoñ  kī  manzileñ
mere  qadmoñ  ko  sadā  rasta  milā  tāḳhīr  se
kis  liye  barbādiyoñ  kā  dil  ko  hai  itnā  malāl
aur  kyā  andāza  ho  ḳhamyāza-e-ta.amīr  kā
ḳhūn-e-dil  jin  kī  gavāhī  meñ  huā  nazr-e-vafā
rañg  to  vo  uḌ  ga.e  ab  kyā  karūñ  tasvīr  kā
maiñ  ne  samjhā  terī  chāhat  ko  faqat  in.āmāt-e-zīst
mujh  ko  andāza  na  thā  is  jurm  is  ta.azīr  kā
ek  lab  tak  hī  na  pahuñchī  jo  duā  thī  mustajāb
kis  qadar  charchā  huā  hai  āh-e-be-tāsīr  kā
lafz  kī  hurmat  muqaddam  hai  dil-o-jāñ  se  mujhe
sach  ta.āruf  hai  mire  har  sher  har  tahrīr  kā