ab  asīrī  kī  ye  tadbīr  huī  jaatī  hai
ek  ḳhushbū  mirī  zanjīr  huī  jaatī  hai
ik  hasīñ  ḳhvāb  ki  āñkhoñ  se  nikaltā  hī  nahīñ
ek  vahshat  hai  ki  ta.abīr  huī  jaatī  hai
us  kī  poshāk  nigāhoñ  kā  ajab  hai  ye  fusūñ
ḳhush-bayānī  mirī  tasvīr  huī  jaatī  hai
ab  vo  dīdār  mayassar  hai  na  qurbat  na  suḳhan
ik  judā.ī  hai  jo  taqdīr  huī  jaatī  hai
un  ko  ash.ār  na  samjheñ  kahīñ  duniyā  vaale
ye  to  hasrat  hai  jo  tahrīr  huī  jaatī  hai