ik  galī  se  ḳhushbū  kī  rasm-o-rāh  kaafī  hai
laakh  jabr  mausam  ho  ye  panāh  kaafī  hai
niyyat-e-zuleḳhā  kī  khoj  meñ  rahe  duniyā
apnī  be-gunāhī  ko  dil  gavāh  kaafī  hai
umr-bhar  ke  sajdoñ  se  mil  nahīñ  sakī  jannat
ḳhuld  se  nikalne  ko  ik  gunāh  kaafī  hai
āsmāñ  pe  jā  baiThe  ye  ḳhabar  nahīñ  tum  ko
arsh  ke  hilāne  ko  ek  gunāh  kaafī  hai
pairvī  se  mumkin  hai  kab  rasā.ī  manzil  tak
naqsh-e-pā  miTāne  ko  gard-e-rāh  kaafī  hai
chaar  din  kī  hastī  meñ  hañs  ke  jī  liye  'amabar'
be-nashāt  duniyā  se  ye  nibāh  kaafī  hai