Meer Soz

jis ka tujh sa habib howega

Meer Soz

Delhi, India

1721-1798

jis tujh habīb hovegā

kaun us raqīb hovegā

be-vatan be-rafīq be-asbāb

kaun aisā ġharīb hovegā

dard-e-dil davā ho jis ke paas

koī aisā tabīb hovegā

mil rahegā kabhī duniyā meñ

gar hamārā nasīb hovegā

'soz' ko vo milā.egā tujh se

jo ḳhudā habīb hovegā

Top Urdushayar.com