Shaz Tamkanat

main lauT aaun kahin tu ye sochta hi na ho

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985

maiñ lauT aa.uuñ kahīñ ye sochtā na ho

ki raat der ga.e terā dar khulā na ho

nahīñ ki ziist se kuchh vāsta paḌā na ho

maiñ kaise mānūñ tirā dil kabhī dukhā na ho

talāsh kar use dīvār-o-dar ke chehroñ meñ

ajab nahīñ tirī mahfil se vo uThā na ho

ik e'timād-e-vafā hai ki rahā huuñ maiñ

ki mere haal shāyad use pata na ho

ye rāsta to usī dar pe ke ruktā thā

ki vo ḳhafā hai to ye rāsta muḌā na ho

maiñ yūñhī us se ḳhafā huuñ magar mujhe Dar hai

manāne vaalā haqīqat meñ ḳhud ḳhafā na ho

mujhe to tujh pe ḳhud apnā gumāñ guzartā hai

tirā thakā huā lahja mirī duā na ho

gunāh aur hasīñ, ahrman ke bas meñ nahīñ

sitam-zarīf koī banda-e-ḳhudā na ho

maiñ sochtā huuñ ki āp-apnī dushmanī kyā hai

mirā vajūd mirī zaat se judā na ho

baḌe-baḌoñ ke nasheb-o-farāz dekhe haiñ

koī mile to sahī jis sar jhukā na ho

na jaane kitne haiñ sayyārgān-e-nā-dīda

intihā jise kahtā hai ibtidā na ho

vo laakh ġham sahī aisā nahīñ ye duniyā hai

ki 'shāz' us se bichhaḌ kar kabhī hañsā na ho

Top Urdushayar.com