Anjum Azmi

fareb gham hi sahi dil ne aarzu kar li

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941

fareb ġham sahī dil ne aarzū kar

burā kyā hai agar terī justujū kar

ġhalat hai jazba-e-dil par nahīñ koī ilzām

ḳhushī milī na hameñ jab to ġham ḳhū kar

biThā ke sāmne tum ko bahār meñ hai

tumhāre riñd ne tauba bhī rū-ba-rū kar

vafā ke naam se Dartā huuñ ai shah-e-ḳhūbāñ

tum aa.e bhī to nazar jānib subū kar

kahāñ se ā.eñge andāz be-panāhī ke

abhī se jeb-e-tamannā agar rafū kar

zamāna de na sakā fursat-e-junūñ 'anjum'

bahut huā to ghaḌī bhar ko hā-o-hū kar

Top Urdushayar.com